Rakht-e-Shab With RJ Shafqat Bukhari
Saturday, July 2, 2011Posted by
Abdul Basit Sherazi
0 Comments
Hawa ko itni khabar karo tum
Hawa jo mujh say ulajhh rahi hai
Hawa jo mitti main dafan hoti hui udaasi say ajnabi hai
Hawa jo rastay mita rahi hai
Hawa jo meray ujaar dil ka diya bujhaanay ki zidd main
Mera peechhay peechhay aa rahi hai
Hawa ko itni khabar karo tum
Kay meray ehsaas ka asaasa
Yeh mera dil hai
Yeh mera apna ujaar dil hai
Jo khaima-e-jaa'n kay kunj-e-weera'n ka
Aakhri kam nafas diya hai
Yeh hi diya hai
Jo shaam-e-weera'n main
Subah-e-umeed ka sabab hai
Hawa ko itni khabar karo tum
Yeh hi diya, kainaat meri
Yeh hi mataay-e-hayaat meri
Udaasiyo'n say atay huay dasht-e-bay-karaa'n main
Yeh hi musaafir ka rakht-e-shab hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)